Suniil Bhatia

Suniil Bhatia

Title of the Track: Yeh Hai Mumbai Meri Jaan

Credits that will appear after the film:

Song Credits:

Written, Composed & Sung: Suniil Bhatia
Ukulele & Guitar: Suniil Bhatia
Recorded, Mixed and Mastered : Joshua Studio by Joshua Singh and Atharv Mayekar.

0:00 / 0:00
Yeh Hai Mumbai Meri Jaan

Lyrics

Bhago nahi toh choot jayegi Churchgate to Virar,
Jahan bi dekho metro bus Auto pe sab savar,

Kaali peeli taxi bhi dikhaye Mast bahar,
Sapne pure ho jaayein toh Nikle khud ki car,

Ye hai Mumbai Meri Jaan
Ye hai Mumbai Mere Yaar

Kahan kahan se jaane kitne Log aate yahan,
Mayanagari ki duniya mein Sapne hain hazar,
Tum bhi thode arman lekar Niklo jo ek baar,
Mil jaayega jee bharke Mumba Devi ka pyar,

Ye hai Mumbai Meri Jaan
Ye hai Mumbai Mere Yaar
Fort ki purani buildings dekho, Lelo Tapri chai
Hornimon circle per jaake, Garden mein so chaahe

Gateway of India aur Marine Drive jo jayein,
Woh parinde sea side pe Channa jor karein try,

Ye hai Mumbai Meri Jaan
Ye hai Mumbai Mere Yaar
Fashion Street se Hanging Gardens, Haji Ali, Nariman Point,
Pali Hill, Linking Road dekhke, Juhu Beach ho jaaye,

Bollywood ki chaka chaund Se khicche chale aayein
Afra Tafri ki duniya mein Bun maska ho jaaye

Har taraf nazaare dekho,
Street art handicraft lelo Powai Lake,
Aarey main jaake Bhel Puri ho jaye

Har koi anokha banda, Karna jo bhi chaahe
Is shahar ke jaadu mein Woh sub mein ghulmil jaaye

Ye Hai Mumbai Meri Jaan
Ye hai Mumbai Mere Yaar

A friendly note!

Dear Filmmaker

If you have landed on this page you are participating in the Music Video Project 2022!

We request you not to share this track/ page.
This page is only for distribution of the track and created for the competition. Also do not paste this page on any social media page.

All the best to you and your team!